A women's reflection : kaun hu main?๐ซ
Kon hu main? -
Kya mai ek bechaini hoon,
jiska shor sirf mai hi samajh sakti hoon?
Kya mai ek ghabrahat hoon,
jisme awaz tak nahi nikalti?
Kya mai ek murti hoon,
jisme na awaz hai, na ehsaas?
Kya mai ek kitaab hoon,
jiske sare panne khatam ho gaye hain?
Kya mai kalam hoon,
jiski dawat bhi khatam ho gayi hai?
Nahi… mai sirf ek insaan hoon.
Ye sab mai nahi hoon.
Mai ek jaan hoon,
jiske kitaabon ke panne khatam nahi hue,
aur na hi kalam ki dawat ruk gayi hai.
Na mai bechaini hoon,
na ghabrahat ki pehchaan khatam ho jati hai.
Mai na ek murti hoon,
na sirf ek murtikaar ki rachna hoon.
Mai ek jeevan hoon, jisme awaz bhi hai,
aur rooh ki pehchaan bhi.
Mai to ek insaan hoon,
us murtikaar ki kala hoon,
jo poori duniya ko chalata hai.
Ha… mai usi ki banayi hui kla hoon.
Kyuki… mai ek naari hoon…
Ek insaan hoon…
Aur ye meri zindagi ka safar hai....
Comments
Post a Comment